Site icon Digital Alia

Maa ki Mamta Shayari-Best collection of Shayari on Mother

Guys!! This time I am back with the best collection of Shayari on maa ki Mamta Shayari Mothers are important not only when the child is young but important in every walk of life. Mother cannot be replaced.

Mother strives to nurture a child and helps him to grow big and become a  gentleman . A mother is someone who loves us and cares us in every way possible. Mothers are the backbones of a family. They protect us from being hurt.

Here, in this article i had collected some awesome Mother shayari.

MAA KI MAMTA SHAYARI

😍✔️ Ek Hasti hai jo Jaan hai Meri, Jo Aan se barh kar Maan hai Meri, Khuda Hukum dai to kar don sajda usay, Kyon k woh koi aur nahi Maa hai meri..!!

😍✔️ aaj phir maañ mujhe māregī bahut rone par

aaj phir gaañv meñ aayā hai khilaune vaalā

😍✔️ ab ik rūmāl mere saath kā hai

jo merī vālida ke haath kā hai

😍✔️ abhī zinda hai maañ merī mujhe kuchh bhī nahīñ hogā

maiñ ghar se jab nikaltā huuñ duā bhī saath chaltī hai

😍✔️ ai raat mujhe maañ kī tarah god meñ le le

din bhar kī mashaqqat se badan TuuT rahā hai

😍✔️ bachche fareb khā ke chatā.ī pe so ga.e

ik maañ ubāltī rahī pathar tamām raat

😍✔️ bahan kī iltijā maañ kī mohabbat saath chaltī hai

vafā-e-dostāñ bahr-e-mashaqqat saath chaltī hai

😍✔️ barbād kar diyā hameñ pardes ne magar

maañ sab se ki_rahī hai ki beTā maze meñ hai

😍✔️ bhūke bachchoñ kī tasallī ke liye

maañ ne phir paanī pakāyā der tak

😍✔️ bose biivī ke hañsī_bachchoñ kī āñkheñ maañ kī

😍✔️Labo par Uske Kabhi Baddua_Nahin hoti, Bas Ek Maa hai Jo Kabhi_Khafa Nahi hotee

😍✔️ Raat bhar maine khwabon mein JANNAT ki sair ki Jab subah utha toh mera sar Maa Ki Godh me tha

MOTHER SHAYARI IN HINDI

😍✔️ Ghar Aa k Boht Roye Maa Baap Akelay Main, Mit’ti k khilonay Bhi Sastay Naa Thay Mailay Main

😍✔️ Maa कहती है मेरी दौलत है तू Aur_बेटा किसी और को ज़िन्दगी मान बैठा_hain

😍✔️ Aaj Jinko Rulate Ho Ye Wahi ‪#‎Maa Baap_Hai, Jo Insan Hote Huye Tumhare Liye Hathi Ghoda_Bante Rahe.

😍✔️ भूख तो Ek रोटी से भी_मिट जाती Maa, अगर थाली की Woh_एक रोटी तेरे हाथ की होती

😍✔️ Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai, Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…
😍✔️ जन्नत का Har लम्हा….दीदार किया था गोद मे उठाकर Jab Maa ने प्यार किया था
😍✔️ Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe, Us मां Ko Khushi Diye Jana, Khushi Ho Ya Gam Ke बादल, Sada Khush Rakhna Aur मुस्कुराना
😍✔️ Soch समझ kar barbad karna mujhe_Bahut pyar se pala hai meri
मां ne मुझे
😍✔️ Log Bolte hai,Jannat se_khoobsurat kuch nahi, Shayad unhone kbhi apni Maa ko khul kar haste huye nahi dekha_hog
😍✔️ Maa Ko Khushi Diye Jana, Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal, Sada Khush Rakhna Aur Muskurana
😍✔️ लोग Bolte hai, Jannat se khoobsurat kuch nahi, Shayad unhone कभी apni मां ko khul kar haste huye नहीं dekha hoga qaid-ḳhāne meñ giraftār samajhiye ham ko

😍✔️ būḌhī maa kā shāyad lauT aayā bachpan

guḌiyoñ kā ambār lagā kar baiTh ga.

😍✔️ chaltī phirtī huī ā.ankhoñ se azaañ dekhī hai

maiñ ne jannat to nahīñ dekhī hai maañ dekhī hai

😍✔️ din bhar kī mashaqqat se badan chuur hai lekin

maañ ne mujhe dekhā to thakan bhuul ga.ī hai

😍✔️ duā ko haat_ uThāte hue laraztā huuñ

kabhī duā nahīñ māñgī thī maa ke hote hue

😍✔️ maa ḳhvāb meñ aa kar ye batā jaatī hai har roz

bosīda sī oḌhī huī is shaal meñ ham haiñ

😍✔️ maañ kī āġhosh meñ kal maut kī āġhosh meñ aaj

ham ko duniyā meñ ye do vaqt suhāne se mile

BEST SHAYARI FOR MAA

😍✔️ maañ kī duā na baap kī shafqat kā saayā hai

aaj apne saath apnā janam din manāyā hai

😍✔️ maañ mujhe dekh ke nārāz na ho jaa.e kahīñ

sar pe āñchal nahīñ hotā hai to Dar hotā hai

😍✔️ maañ ne likhā hai ḳhat meñ jahāñ jaao ḳhush raho

mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhūlnā

😍✔️ muddatoñ ba.ad mayassar huā maañ kā āñchal

muddatoñ ba.ad hameñ niiñd suhānī aa.ī

😍✔️ munavvar maañ ke aage yuuñ kabhī khul kar nahīñ ronā

jahāñ buniyād ho itnī namī achchhī nahīñ hotī

raushnī bhī nahīñ havā bhī nahīñ

maañ kā nemul-badal ḳhudā bhī nahīñ

😍✔️ duur rahtī haiñ sadā un se balā.eñ sāhil

apne maañ baap kī jo rose duā lete haiñ

😍✔️ ek laḌkā shahr kī raunaq meñ sab kuchh bhuul jaa.e

ek buḌhiyā roz chaukhaT par diyā raushan kare

😍✔️ ek muddat se mirī maañ nahīñ soī ‘tābish’

maiñ ne ik baar kahā thā mujhe Dar lagtā hai

😍✔️ ghar lauT ke ro.eñge maañ baap akele meñ

miTTī ke khilaune bhī saste na the mele meñ

😍✔️ ghar se nikle hue beToñ kā muqaddar ma.alūm

maañ ke qadmoñ meñ bhī jannat nahīñ milne vaalī

😍✔️ havā dukhoñ kī jab aa.ī kabhī ḳhizāñ kī tarah

mujhe chhupā liyā miTTī ne merī maañ kī tarah

SHAYARI ON MAA

😍✔️ is liye chal na sakā koī bhī ḳhanjar mujh par

merī shah-rag pe mirī maañ kī duā rakkhī thī

😍✔️ is tarah mere gunāhoñ ko vo dho detī hai

maañ bahut ġhusse meñ hotī hai to ro detī hai

😍✔️ jab bhī kashtī mirī sailāb meñ aa jaatī hai

maañ duā kartī huī ḳhvāb meñ aa jaatī hai

jab chalī ThanDī havā bachcha ThiThur kar rah gayā

maañ ne apne la.al kī taḳhtī jalā dī raat ko

😍✔️ kaho kyā mehrbāñ nā-mehrbāñ taqdīr hotī hai

kahā maañ kī duāoñ meñ baḌī tāsīr hotī hai

😍✔️ kal apne-āp ko dekhā thā maañ kī āñkhoñ meñ

ye ā.īna hameñ būḌhā nahīñ batātā hai

😍✔️ kis shafqat meñ guñdhe hue maulā maañ baap diye

kaisī pyārī rūhoñ ko merī aulād kiyā

😍✔️ kis shafqat meñ guñdhe hue maulā maañ baap diye

kaisī pyārī rūhoñ ko merī aulād kiyā

😍✔️ kitāboñ se nikal kar titliyāñ ġhazleñ sunātī haiñ

tiffin rakhtī hai merī maañ to basta muskurātā hai

😍✔️ maiñ apnī maañ ke vasīle se zinda-tar Thahrūñ

ki vo lahū mire sabr-o-razā meñ raushan hai

😍✔️ maiñ ne kal shab chāhatoñ kī sab kitābeñ phaaḌ deñ

sirf ik kāġhaz pe likkhā lafz-e-māñ rahne diyā

😍✔️ maiñ ne maañ kā libās jab pahnā

mujh ko titlī ne apne rañg diye

MAA KI MAMTA SHAYARI

😍✔️ maañ baap aur ustād sab haiñ ḳhudā kī rahmat

hai rok-Tok un kī haq meñ tumhāre ne.amat

😍✔️ sab ne maanā marne vaalā dahshat-gard aur qātil thā

maañ ne phir bhī qabr pe us kī rāj-dulārā likkhā thā

sāmne maañ ke jo hotā huuñ to allāh allāh

mujh ko mahsūs ye hotā hai ki bachcha huuñ abhī

shahr ke raste hoñ chāhe gaañv kī pagDañDiyāñ

maañ kī uñglī thaam kar chalnā bahut achchhā lagā

😍✔️ tifl meñ bū aa.e kyā maañ baap ke atvār kī

duudh to Dibbe kā hai ta.alīm hai sarkār_kī

MAA KI MAMTA SHAYARI

😍✔️ vo lamha jab mire bachche ne maañ pukārā mujhe

maiñ ek shāḳh se kitnā ghanā daraḳht huī

😍✔️ ye aisā qarz hai jo maiñ adā kar hī _nahīñ_saktā

meñ jab tak ghar na lauTūñ merī maañ sajde meñ rahtī hai

😍✔️ shahr meñ aa kar paḌhne vaale bhuul ga.e

kis kī maañ ne kitnā zevar bechā thā

😍✔️ shaam Dhale ik vīrānī sī saath mire ghar jaatī hai

mujh se pūchho us kī hālat jis kī maañ mar jaatī hai

😍✔️ shāyad yūñhī simaT sakeñ ghar kī zarūrateñ

‘tanvīr’ maañ ke haath meñ apnī kamā.ī de

😍✔️ surūr-e-jāñ-fazā detī hai āġhosh-e-vatan sab ko

ki jaise bhī hoñ bachche maañ ko pyāre ek jaise haiñ

😍✔️ tere dāman meñ sitāre haiñ to hoñge ai falak

mujh ko apnī maañ kī mailī oḌhnī achchhī lagī

MAA SHAYARI IN ENGLISH

1. A mother is your friend , your forever friend

2. God could be everywhere,and therefour he mad mother

3. To my dear friend on mothers day,  the gift of your friendship is a blessing from Dod

4. Your loving spirit helped me find my own

5. Mother is the heartbeat  in the home; and with her, there seems to be no heartthrob

6. Nothing is really lost until your mom cant find it.

7.when you look into your mother eyes, you know that is the purest love you can find

8.nothing is really lost until your mom can find it.

9. Happy mothers dayn

10. Mother: the most beautiful word on the lips of mankind

11. Motherhood all love begins and ends there

12. Mother is a very its something you do not just  who you

13. Mother love is peace it need not be acquired it need not be deserved

14. Mother day. may your day be fillet with love

15. Sooner or later we all quote our mother

MOTHER SHAYARI

16. Good friends always know when you need a tea

17.Mom  i love you and your super long voice mails

18. Home is wherever mom is

19. Nothing is lost until your mother cant find it

20. Mother  is  a  god  of  life

21. Nothing is lost until your mother cant find it

22. Mother is  a  God  of  life

Exit mobile version